Tuesday, 12 April 2011

SHAYRI

Dard hai dil mein par ehsaas nahi hota,
Rota hai dil jab woh paas nahi hota;
Barbaad ho gaye hum unki mohabbat mein,
Aur woh kehte hain ki is tarah pyaar nahi hota!


Ai mere humnashin chal kahin aur chal,
Is chaman mein ab apna guzaara nahin,
Baat hoti phoolon tak to seh lete hum,
Ab to kaanton pe bhi haq hamara nahin.
`
Yeh shaam itnee tanha kyon hoti hai…..
Aur kismat se apnee sabko shikayat kyon hoti hai…
Ajeeb khel khelti hai ye kismat bhi….
Jinhe hum paa nahin sakte…
Usseise mohabbat kyon hoti hai….
`
Wo muzh se pooch raha tha batao kaisa laga,
Tum peechle zakhm ko chodo,Yeh ghao kaisa laga…
Ajab sawal kyia andhiyon ne patton se,
Shajar se toot ke Girna batao kaisa Laga?????
`
Mili Thodi Si Khushi To Mila Ke Pee Gaye,
Nahi Thay Hum Bhi Kal Tak Peene Ke Aadi,
Sharaab Ko Tanha Dekha To usper Taras Khaa Ke Pee Gaye.
Gham Mila To Ghabraa Ke Pee Gaye..
`
Mar jaoon main agar, to aansu mat bahana,
bas kafan ki jagah apna dupatta chada jana,
koi pooche ki rog kya tha,
to sir jhuka ke mohabbat bata jana.


Log apna bana k chor detey hain,
Apno se rishta tod k ghairon se jod detey hain,
Ham toa ik phool na tod saktey,
Najaney log dil kaisey tod detey hain….
`
Is dil ke har dhadkan ka ehsaas ho tum.
Tum kya jaano hamare liye kitne khaas ho tum.
juda ho k tumne hame maut se bhi battar sazaa di hai,
Phir bhi is tadapte dil ne tumhe khush rehne ki duaaein di hai.
`
Aap ko pa ker ab khona nahi chahtay,
Itna khush ho k ab rona nahi chahtay,
Ye aalam hai hamara aap ki judai mein,
Aankho mein neend hai aur sona nahi chahtay..
`
Kaha koi aisa mila jispe dil luta dete,
har ek ne dhoka diya kis-kisko bhula dete,
apne dil ka dard dil hi mein dabaye rakhe hain,
karte bayan to mehfil ko rula dete.
`
Ae nadan dil rotay nahi hai,
Kuch apnay ho k bhi pas hotay nahi hai,
Zara say fasly per udasi kaisi?
Dil ma basny wale kabhi door hotay nahi hai..
`
Mehkhane me jam tut jata he,
ishq me Dil tut jata he,
Na jane kya rishta hai in Dono me,
jam tute to ishq yaad Aata hai,
Dil tute to jam yaad Aata hai. . .
`
Aaj Q kisi ki yaad sone nahi deti
Is zamane ki bandish b rone nahi deti
Kesi kashish hai teri
Jo tujhe mera aur mujhe kisi aur ka h?ne nahi deti.
`
Jhuki nazron se ikrar mat krna,
Nazre utha kr inkar mat krna,
Raat bhar tarapte ho kisi ki yadon me,
Or dosron ko kehte ho kisi se pyar na krna??.!!

Mohabbat
K Sapney
Dekhata Boht Hy,
Wo Raaton
Ko Mujh Ko
Jagata Bhi Boht Hy,
Me Aankhon
Me KajaL
Lagaon Tu Kese?
In Aankhon
Ko ZaLim RuLata Bhi Tu Boht Hai…

Haal dekh kar mera khuda bhi tadap jayega,
Jab bhi hogi bewaffai ki baat nujhe bhi koi bhoola yaad aayega,
Are apno ne kya kami rakhi jo ab koi anjan sitam dhayega,
Mat chu palkon ko Hai itna dard isme ke tera daaman bheeg jayega…
`
Nazar chahti hai didaar karna,
dil chahta hai pyaar karna,
kya batayein is dil ka aalam,
naseeb mein likha hai intezar karna.
`
Ussey yaad karun toh aankh bhar aati hai,
Meri mohabbat mujhe hi rulati hai,
Uske bina hoon udass main,
Bheer mein bhi tanha hoon main…
`
Pehle bhi kabhi suni thi, ye pyaar ki baatein,
Pehle bhi dil ko bahut dukhaya hai.
Aaj phir tumne kuredein hain, wo zakhm,
Aaj phir iss dil ko tumne rulaya hai…
`
Aap to chand ho jise sab yaad karte hai
Aur hamari kismat to taro jaisi hai
Humein yaad karna to door…
Log apni khawahish ke liye
Hamare tutne ki fariyad karte hai…



Wo Waqt wo lamhe Kuch ajeeb Honge
Duniya me hum khush Naseeb honge
Door se jab Itna Yaad karte hai aapko
Kya Hoga Jab aap humare Kareeb honge?
`
Dil tootna sazaa hai mohabbat ki,
dil jodna ada hai dosti ki.
Maange jo kurbani woh hai mohabbat,
jo bin maange ho jaye kurban wo hai dosti hamari.
`
Bahane bahane se aapki baat karte hai
har pal aapko mehsus karte hai
itni baar to aap saans bhi nahi lete honge
jitni baar hum aaapko yaad karte hai!
`
Khud Ko Khud Ki Khabar Na Lagay
Koi Achha Bhi Is Qadar Na Lagay
Aap Ko Dekha Hai Bas Us Nazar Say
Jis Nazar Say Aap Ko Nazar Na Lagay
`
Kalam tha haath mey likhna sikhaya apne
Takat thi haath mey hausla dilaya apne,
Manzil thi saamne raasta dikhaya apne,
Hum to sirf dost the,
AASHIQ BANAYA aap ne!
`
Ye aarzu nahi ke kisi ko bhulaye hum
Na tamanna ke kisi ko rulaye hum.
Par dua hai uss rab se,
jisko jitna yaad karte hain,
usko utna yaad aayein hum.
`
Betaab tamannao ki kasak rehney do,
Manzil ko paney ki kasak rehney do,
Aap chahe raho nazron sey door,
Par meri aankhon mein apni ek jhalak rehney do..

No comments:

Post a Comment